मेरी निगाह में वो शख्स आदमी भी नहीं… Dr. Rahat Indori

Meri nigaah mein wo shakhs aadmi bhi nahi

Dr. Rahat Indori

ये भी पढ़े : Dr. Rahat Indori education , birth and biography

Meri nigaah mein wo shakhs aadmi bhi nahi

ये भी पढ़े : bulati hai magar jaane ka nahi – Dr. Rahat Indori की मसहूर gazal

Tajalliyon ka naya daayra banaane mein
Mere chiraag lage hain hawa banaane mein

Ade the zid pe ke suraj banaake chhodenge
Paseene chhoot gaye ek diya banaane mein

Meri nigaah mein wo shakhs aadmi bhi nahi
Jise laga hai zamaana khuda banaane mein

Abhi inhein na parishaan karo masihaaon
Mareez uljhe hue hain dawa banaane mein

Tamaam umr mujhe dar-ba-dar jo karte rahe
Lage hue hain mera maqbara banaane mein

Ye chand log jo basti mein sabse achhe hain
Inhi ka haath hai mujhko bura banaane mein

भूलेख ऑनलाइन खसरा खतौनी नकल जमाबंदी से जुड़े कुछ सवाल और उनके जवाब

Spread the love